Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, April 26, 2014

Aye Nashely Hawa....

Use Ab Jaa Keh De 
Aye Nashely Hawa.... 
Main Hon Har Pal 
Tere Ishq K Saroor Mein
(Nazim Ali) 




Kahan Chal Diye Ho

Kahan Chal Diye Ho 
Youn Bat Badal Kr... 
Abi Tu Maine 
Anwaaan Bi Ni Badalaa...
(Nazim Ali)



 

Tuesday, April 22, 2014

Mujhe Tasveer Kar Jao

Jo Mumkin Ho Tu 
Youn Kessri Wafa 
Tameer Kar Jao
Mohabbat Us Ke Dil Par 
Tum Tehareer Kar Jao
Suno Us Aaine Chehre Pe 
Khawabgehein Ankhon
Meri Herat Ye Thi 
Mujhe Tasveer Kar Jao
Badan Dukhne Laga Hai 
Dekh Nasoor Ki Surat
Agr Chu Lo Tu 
Har Ek Zakham Ko
 Akseer Kar Jao
Mera Azad Rehna Ab
 Mohbbat Ke Munafiii Hai
Mere Mehboob Ki Zulfon
 Mujhe Zanjeer Kar Jao
Mohabbat Muflasiii Mein 
Ukhare Ukhare Sanas Leti Hai
So' Mere Naam 
Apne Dard Ki Jageer Kar Jao
Meri Ezzat 
Tumhari Nisbaton Ke Sath Banti Hai
So' Mujh Ko Ho Sake Tou
Sahab-e-Touqeer Kar Jao
Tammanna Hai Ali 
Bass Tumhara Ho Ke Reh Jaye
Kisi Tadbeer Se Apni 
Isse Taqdeer Kar Jao



Thursday, April 17, 2014

Jo bheji thi dua

Kise poochu..
Hai aisa kyu?
Bezubaan saa ye jahaan hai

Khushi ke pal
Kahaan dhoondu?
Benishaan sa waqt bhi yahaan hai

Jaane kitne labon pe gile hain
Zindagi se kayi faasle hain

Paseejte hai sapne kyun aankhon mein
Lakeere jab chhoote inn haathon se yun bewajah

Jo bheji thi dua
Woh jaake aasmaan se yun takra gayi
Ki aa gayi hai laut ke sadaa

Saanson ne kahaan rukh mod liya
Koi raah nazar mein naa aaye
Dhadkan ne kahaan dil chhod diya
Kahaan chhode in jismon ne saaye

Yehi baar baar sochta hoon tanha main yahaan
Mere saath-saath chal raha hai yaadon ka dhuaan

Jo bheji thi duaa
Woh jaake aasmaan se yun takra gayi
Ki aa gayi hai laut ke sadaa
 
 
 


Tumhari Tarhaa Mujhe Nazim

Kon Chahe Ga Ab Bhalaa 
Tumhari Tarhaa Mujhe Nazim

Nehin Hon Kisi Kam Ka 
Main Tere Bina Man Lay
(Nazim Ali)


Bass Mohabbattt Ki Qaid

Aazaadi ki Kon Kambakhat Arzoo Kare Gaaaa 
Tere Paas Aa Kar Nazim
Humein Tu Qaid Chahiye 
Bass Mohabbattt Ki Qaid
(Nazim Ali)



Monday, April 14, 2014

Tumhari Batein Or Main

Kese Biyaa Karon Lafzoo Mein 
Apni Mohabbat Ko Nazim
Tum Ho Or Bass Tum Ho' 
Tumhari Batein Or Main
(Nazim Ali)





Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...