Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, June 21, 2011

voh chanchal albeli laRki meri nazmeN yuuN paRhti hai

voh chanchal albeli laRki meri nazmeN yuuN paRhti hai
jaise un nzmoN ka mehwar
us kii apni zaat nahiiN hai,
(yaani itni sundar laRki aur koii bhii ho sakti hai!)
jaise us ko ilm nahiiN hai yeh saari baateN us kii haiN
saari ghataiN us kii haiN
har aahaT hai us kii aahaT, sab saaye haiN us ke saaye
saare mehmal us ke haiN
har Khushbu hai us kii Khushbu, sab chehre haiN us k chehre
saare aanchal us ke haiN
jaise us ko ilm nahiiN hai us laRki ke saare kaam
saare naam usii ke haiN
her khiRki hai us kii khiRki, saare baam usii ke haiN
us laRki ke naam se jo kuChh maiN ne apne naam likha hai
us se hi mansoob hua hai
(shaayad mera veham ho lekin maiN ne yeh mehsoos kia hai)
jab maiN nazm sunata huuN voh aankh churaane lagti hai
mujh se nazareN mil jaayeN to voh sharmane lagti hai
kuch lamhe voh chanchal laRki gum sum sii ho jaati hai
lekin thoRi der meN phir se pathar kii ho jaati hai
jaise meri nazm kii laRki ho


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...