Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, June 10, 2011

Mujhko ek hamdam mila tha,ek safar ki rat main

Mujhko ek hamdam mila tha,ek safar ki rat main
main bohat bekudh howa tha,ek safar ki rat main
jane kiss ki yad thi ke ek manzar dekh ker
main toot ker roo para tha,ek safar ki rat main
"kash aisa ho" yehin, pee rok lain hum waqt ko"
yaad hai? tune kaha tha ? ek safar ki rat main
woh ke jiss se umar bhar ki doriyan mansoob hain
mere seene se laga tha,ek safar ki rat main
har taraf phale howe the yad-e-ghum ke silsaly
kitna mushkil rasta tha, ek safar ki rat main
ghur se bahir baon rakhte he laraz uthta hai dil
hadsa aisa howa tha, ek safar ki rat main
aij bhi main gungunata hon usse tanhai main
geet jo humne suna tha, ek safar ki rat main
uss ki yaadon ke sahare ker raha hon zindagi
jo muje WASIQ mila tha, ek safar ki rat main

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...