Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, June 8, 2011

Mere watan ko jaane kiski lagi nazar hai

Mere watan ko jaane kiski lagi nazar hai
 Her ghar ko dekhiye khud hi muntashar hai
 Ganga ho ya jamun, Krishna ho ya kaveri
 Sub ki yahi shikaayat, ruuthee huyee lehar hai
 Himalay ka saya sar uthake subse bole
 Meri wadiyon ki bhi kya koi fikr hai
 Her daal ki horahi, apni hi shaakh se ladayee
 Her subah ki suniye, yahi nayee khabar hai
 Zarra zarra uljha hai apni hi hasti mein
 Khatron ko dariya ki ab nahi qadr hai
 Tassavur main Rahbar ke aasmaan ne ye kaha
 Sitaron ki gardish ka ab yahi asar hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...