Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, June 23, 2011

Mere Khwabon Mein Haseen Chehre Wali Anjaan Si Ladki Rehti Hai

Mere Khwabon Mein Haseen Chehre Wali Anjaan Si Ladki Rehti Hai
Kabhi Nazrein Milati Hai Kabhi Nazrein Churati Hai
Kabhi Deewana Karti Hai Kabhi Pagal
Kabhi Naagin See Lat Se Khelti Hai Darati Hai
Kabhi MasooM Sa Chehra Bana Kar SeheM Jaati Hai
Kabhi Aanchal SaMetti Hai Kabhi Khud SiMat Jaati Hai
Kabhi Chalte Hi Chalte Thoda Sa Ruk Jaati Hai
Kabhi Aabroo Churati Hai Kabhi Palkein Jhukati Hai
Kabhi MasooM Sa Chehra Bana Kar SeheM Jaati Hai
Kabhi KhaMosh Se KhaMosh Chup Si Rehti Hai
Kabhi Chalti Hai Latak Matak Ke Chalti Hai
Kabhi Paayal Ki ChaM ChaM Se Neendon Ko Udati Hai
Kabhi Chhoti Se Chhoti Baat Pe Rooth Jaati Hai
Kabhi Dosti Banti Hai To Saare Dukh Bantti Hai
Kabhi Hijr Mein Akela Sa Tanha Sa Chhod Jaati Hai
Kabhi Gairon Se Hans Hans Kar Baatein Karti Hai
Kabhi Begana Karti Hai Kabhi Apna Banati Hai
Isiliye Areeb Itna Mujhko Bhaati Hai
Apni Chizon Pe Mera NaaM Likhe Jaati Hai
Aankhon Hi Aankhon Mein Dilko Har Baar Kehti Hai,
Mere Khwabon Mein Haseen Chehre Wali Anjaan Si Ladki Rehti Hai



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...