Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, June 29, 2011

Jahan Raat Kabhi Bhi Soyi Na Ho,

Jahan Raat Kabhi Bhi Soyi Na Ho,
 Jahan Subah Kisi Pe Royi Na Ho,
 Jahan Hijr Ne Wehshat Boi Na Ho,
 Jahan Koi Kisiki Khoyi Na Ho,

 Mujhe Aur Kahin Le Chal Sajan
 Jahan Shaher Hoon Sare Veeran,
 Jahan Log Sabhi Ho Begane,
 Jahan Sab Ke Sab Ho Deewane,
 Jahan Koi Hamein Na Pehchane,

 Mujhe Aur Kahin Le Chal Sajan
 Jahan Nafrat Dil Mein Bas Na Sake,
 Jahan Koi Kisi Ko Dus Na Sake,
 Jahan Koi Kisi Pe Has Na Sake,
 Jahan Koi Bhi Gunjal Kas Na Sake,

 Mujhe Aur Kahin Le Chal Sajan,
 Jahan Dard Kisiko Raas Na Ho,
 Jahan Koi Bhi Udaas Na Ho,
 Jahan Zulmat Ki Boo Bas Na Ho,
 Jahan Tu Bhi Zyada Paas Na Ho,

 Mujhe Aur Kahin Le Chal Sajan...

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...