Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, June 13, 2011

Jab bhi qareeb aati hun bataane ke liye,

Jab bhi qareeb aati hun bataane ke liye,
 Zindagi door rakhti hai sataane ke liye..

 Mehfilon ki shaan na samajhna mje,
 Mai tu hasti hun ghum chupaane ke liye..

 In faaslon ko na samajhna meri bewafayi,
 Mai door hun tumse PAAS aane ke liye..

 Mat jaano haqeeqat mere in ansuoen ko,
 Mai tu roti hun tumhe rulaane ke liye..

 Koi gila nahin hai mje apni barbaadi ka,
 Mai tu kheli thi aag se jal jaane ke liye..

 Ab duniya kuch bhi kahe mje parwaah nahin,
 Mai tu jeeti thi zindagi MAR jaane ke liye..


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...