Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, June 10, 2011

Hazaron baar diya dhoka tumne hum sab ko,

Hazaron baar diya dhoka tumne hum sab ko,
Khadi diwar nafrat ki mitaye to bhala kaise.

Kiya hai waar tu usko jo apna samajhta tha,
Laga di aag mere ghar me bujhaye to bhala kaise,

Teri har berukhi ko nazar andaz kiya hum ne,
Diya jo zakhm is dil par dikhaye to bhala kaise.

Teri kaayeri ka bayan kab tak karega Noor,
Teri har galati ko yun hi bhulaye to bhala kaise.

Hazaron baar diya dhoka tumne hum sab ko,
Khadi diwar nafrat ki mitaye to bhala kaise



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...