Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, June 9, 2011

dasht-e-dariya k ye us paar kahaN tak jaati?.

dasht-e-dariya k ye us paar kahaN tak jaati?.
 ghar ki deewar thi, deewar kahaN tak jaati?.


 mitt gai husrat-e-deedar bhi rufta rufta,
 hijr main ye husrat-e-deedar kahaN tak jaati?.


 thak gaey hont bhi tera naam lety lety,
 aik hi lufz ki ye yukraar kahaN tak jaati?.


 too boht door boht door gaya tha mujh sy,
 meri aawaz mery yaar kahaN tak jaati?.


 har taraf husn ky baazar lagy thy sagar,
 meri ye chashm-e-khareedar kahaN tak jaati?


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...