Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, June 2, 2011

aoo chaleen hum pyer ker leen

aoo chaleen hum pyer ker leen
keh zindage ab bhi baqi hai
dil mai intezar ab bhi hai
woh jo bekarari thi ab bhi hai
tum se wabasta pyer ab bhi hai
to aooo chalo hum pyer ker leen


meri ankhon ko intezar ajj bhi hai
mere chehray ki ronat abhi baqi
ankhoon ki woh chamak ab bhi baqi hai
dil mai arzoyeen ab bhi zinda hain
to aoo chaloo hum pyer ker leen


mere dil mai chupa kuch pyer bhi hai
mere wahshaat abhi baqi
dil itna hi beqarar hai
to kew na hum pyer ker leeen
aoo chalo hum pyer ker leen


mere hasi mai bhi tanhaye hai
mere lahjaay ka thraoo abhi baqi hai
mere bateen ab bhi adhoori hain
mere saseen bhi itni beqarar hain
to aoo chalo hum pyer ker leen


kuch tum bhi kuch se wakif nahi
ashanaye tumhare khud se baqi hai
chupay pyer ko tum samaj na sakay
dosti tumhari khud se baqi hai
to aoo chalo hum pyer ker leen


chalo aisa kerty hain keh raheen badal jayeen
per rahoon pe qadamoom kay nishaan baqi hain
jo waday kiye thay khud se woh waday baqi hain
chaloo phir ab ke sab bhool jayeen gay
ab keh ek naye duniya basayeen gay
to aoo chaloo hum pyer ker leen..!!!



 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...