Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, June 21, 2011

Aankhain khuli rahain gi toh manzar bhi ayeenge

Aankhain khuli rahain gi toh manzar bhi ayeenge
Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayeenge

Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayeenge

Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chairh
Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayeenge

Khud ko chhupa na sheesha garoon ki dukhaan mai
Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayeenge

Ay shehr yaar dasht say fursat nahi magar
Niklay safar pay hum toh teray ghar bhi ayeenge

Mohsin abhi saba ki sakhawat pay khush na ho
Jhonkay yehi basoorat-e-sar sar bhi ayeenge



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...