Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, May 3, 2011

Nazar jab Tum se Milti hai

Nazar jab Tum se Milti hai,
Main khud ko Bhool jatahoon.!
Bas ek dharkan dharakti hai,
Main khud ko Bhool jatahoon.!
Tumhain Milne se pehle Main
bohat banta sanwarta hoon,,
Mager jab Tum sanwarti ho,
Main khud ko Bhool jatahoon.!
Main akser sochta rehtahoon,
kia hai ye sab .. ??,
Too batain Mujhe se kerti hai,
Main sab kuch Bhool jatahoon.!
Main apni Zaat Main khud-dar hoon'
khoya sa rehtahoon,,
Mager jab Teri chori khanaktihai,
Main khud ko Bhool jatahoon.!
Too gum hoti hai socho mein'
Main takta hi rehta hoon,,
Jo Too pehlo badalti hai,
main khud ko bhool jata hoon.!
Main akser kitabon pe
Tera Naam likhta hoon,,
Mager kuch Too jo likhti hai,
Main khud ko bhool jatahoon.!
Main aksar Tum sy kehta hoon,
"Mujhy Tum sy MOHABBAT hai".!
Magar jab Tum ye kehti ho,
Main Dunya Bhool jata Hoon ..!!!

1 comment:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...