Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, May 9, 2011

~*** Ek Shaqs Raste Mein ***~

~*** Ek Shaqs Raste Mein ***~
[Ek Shaqs raste mein kahin choot gaya tha
Us hadse ke baad,Yeh dil toot gaya tha]
Woh shaqs jiske kandhe pe sir rakhe mein soya
Sene se lagke jiske kai baar mmein roya
jiske zulfon ke khusboo mein raaton mein khoya
Jis jism ki barsaat mein yeh jism bheegoya
[Ek din kisi baaat pe jab woh rooth gaya tha
Us hadse ke baad,Yeh dil toot gaya tha]
Ek Shaqs raste mein kahin choot gaya tha
Us hadse ke baad,Yeh dil toot gaya tha
Rehta hoon quaid abb bhi jiski yaadon ke phere mein
Hai lams jiska zinda meri baahon ke ghere mein
Jiske khwaabon ko mene neend mein sanjoya
Jiske ashqko ko mene appni ankhon pe piroya
[Ek din kisi baaat pe jab woh rooth gaya tha
Us hadse ke baad,Yeh dil toot gaya tha]
Ek Shaqs raste mein kahin choot gaya tha
Us hadse ke baad,Yeh dil toot gaya tha
Ek Shaqs raste mein......
Han Shayad Kehin Wo Apna Sa tha Apna ....!!!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...