Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, March 28, 2011

Woh hi Bheega Sa Tera Lehjaa Rahaa


Woh Hi Bhaaga Sa Tera Lehjaa Rahaa
Tu Aaj Bi Mujh Se Rotha Rahaa
Thak Gia Tha Kis Qadar Woh Meri Tarhaa
Pirdaa Jo Aaj Is Deewar Par Betha Rahaa
Tu Raziq Hai Tu Hi Hai Sab Kuch
Bandaa Magar Tera Aaj Bi Bhukha Rahaa
Kahani Jis Tarhaa Sunte hain Bachy
Mein Dukh Dard Tere Humesha Sunta Rahaa
Woh Tera Baat Baat Pe Chup Kar Jana
Meri jaan Humein Har Bar Kitna Tarpata Rahaa
Jo Tu Ne Kaha Hai Is Tarhaa
Mein Kitna Bechain Ho kar Tujhe Sochta Rahaa
Yaqeen Na Tha Mujh Ko Tu yeh Bi Kahy Ga
Mein Phir Bi Teri Har Baat Ko Gor Se Sunta Rahaa
Shayad Ke Ho Jaye Un Honi NAZIM Abb Ke Baar
Tum Ho, Mein Hon Or Humare Sapne, Mein Samne Rakh Kar Aasam Ko dekhta Rahaa...
                                                                                                            ( NAZIM ALI )

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...