Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, March 5, 2011

umhain Janan Ijazat Hy

umhain Janan Ijazat Hy
K in Tareek Rahon Par
Thakan Si Khud Mein Pao tu
Andheron Sy Kabhi DiL Dol Jae
Thak Si Jao To
Mere Jalte Hue Lamhon
Mere Bekangal Hathon Se ChOra K Apne Hathon Ko
Fiza Ki Naghmagi Se tum Nae Geeton Ko Chun Lena
Haseen Palkon Ki Nokon Par Nae Khawab Bun Lena
Koi Gar Pooche Mera To Usse Zikar Mat Karna
Mere Jeevan Ki Jalti Dopahar Se Begharz Ho Kar
Tum Apni Chandni Raton Mein Jugnoo Palti Rehna
Meri Tanhaiyon Ki Wehshaton Ki Fikar Mat Karna
Tumhein Is Ki Ijazat Hy..
Mere Sab Khat Jala Dena
Mere Tehfoon Ko Darya Mein Baha Dena
Meri Har Yad Ko Dil Se Khurachna
Or
Mita Dena
Tumhain Bilkul Ijazat hy
K Jab Chaho Bhula Dena
Magar Itni Guzarish Hai
Agar Aisa Na ho Janan
To Acha Hai Na...

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...