Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, March 5, 2011

uj're hoye logo se gurazaa'n na howa ker

uj're hoye logo se gurazaa'n na howa ker
halat ki qabroon k yea katbe bhi parha ker
kia janiye keyon tez howa soch main gum hai ?
khawabedah parindoon ko darkhtoo'n se uraa ker
us shakhs k tum se bhi marasim hain tu hoon ge
wo jhoot na bole ga mere samne aa ker
ab dastkai'n de ga tu kahan ae gham-e-ahbab!
main ne tu kaha tha k mere dil main raha ker
her waqat ka hansna tujhe berbad na ker de
tanhai k lamhoon main kabhi ro bhi lia ker
wo aaj bhi sadiyoon ki musafat pe khara hia
dhoonda tha jise waqat ki dewar ghara ker

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...