Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, March 16, 2011

TUMHAIN ADAT NAHAIN MERI

TUMHAIN ADAT NAHAIN MERI
Abhi tum soch sakti ho
Khud ko rok sakti ho
Abhi agaz-e-mohabat hai,Tumain aadat nahin meri
Bari khud garz duniya hai
Kbhi milnay nahin day gi
Mujay bhi torh dhalay gi
Tujay bhi torh dhalay gi
Abhi tum soch sakti ho
Khud ko rok sakti ho
Abhi agaz-e-mohabat hai,Tumain aadat nahin meri
Abhi adat nahain tuj ko
wasal ki haseen shamon ki
Abhi adat nahain muj ko
Teri ankhon main khonay ki
Abhi tum soch sakti ho
Khud ko rok sakti ho
Abhi agaz-e-mohabat hai,Tumain aadat nahin meri
Bharha mushkil hota hai
kisi ko chorh kar jana
Eik DIL ka rishta , Dosray se torh kar jana
ye duniya chorh diti hai
Bharam sab torh diti hai
Abhi tum soch sakti ho
Khud ko rok sakti ho
Abhi agaz-e-mohabat hai,Tumain aadat nahin meri
Din bhr k thaky panshi
Abhi wapas nahin lotay
Abhi soraj nahin doba
Abhi taray nahin nikay
Abhi tum soch sakti ho
Khud ko rok sakti ho
Abhi agaz-e-mohabat hai,Tumain aadat nahin meri
Abhi kashti samander ki
Lehron se nahin ulji
Abhi kasti bhi teri hai
Abhi tera kanara hai
Abhi tum soch sakti ho
Khud ko rok sakti ho
Abhi agaz-e-mohabat hai,Tumain aadat nahin meri

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...