Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, March 19, 2011

Tum Ko Jaante Nahi

Tumko jaante nahi, per chahate hain hum
din bhar khojte nahi, per sochte hain hum
tumhare dil mein rehte nahi, per tumhare hain hum
tumko shayad paayenge nahi, per apnayen ge hum
jeevan main shayad kabhi mil na paao,bas bichar jaao ge tum
shayad humare na ban paao, per muskurao ge tum
raat andheri hogi, phir-bhi jhilmilaoge tum
humein aur koi nahi, bas yaad aao ge tum
jab koe baat kerta hon tera khial aata hay
jab koe baat kerta hon tera khial aata hay
jabb kuchh sochnay lagta hon tera khial aata hay
meri aankhon meri nazar main tum aisay samaay ho
jabb kuchh dekhnay lagta hon tera khial aata hay
koe bhi kaam mujh se abb tu kia nahi jaata
jaabb kuchh kernay lagta hon tera khial aata hay
main saari raat tujhay sochtay bita deta hon
main jabb bhi sonay lagta hon tera khial aata hay
kabhi jabb hansi aati hay tu dil ronay lagta hay
main jabb bhi hasnay lagta hon tera khial aata hay
main pall pall merta rehta hon nahi abb jia jata
main jabb bhi jeenay lagta hon tera khial aata hay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...