Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, March 17, 2011

sherein bhi nahin , lelaa bhi nahin

sherein bhi nahin , lelaa bhi nahin
main heeer nahin , azra bhi nahin
wo qissa hain afsanaa hain
wo geet han prem tarana hain
MAIN zinda aik haqeeqat hun
Main juzba-e-ishq ki shiddat hun
main tumko dekh k jeeti hun
main her pal tum pe merti hon
main aesi muhabat kerti hun
tum kaisi muhabat kertey ho?
jub haath dua ko uthtay hain
alfaaz kahin khoo jatay hain
bus dehaan tumhara rehta hai
aur ansoo behtay rehtey hain
her khowab tumhara pora ho
is Rub ki minnat kerti hun
main aesi muhabat kerti hon
tum kaisi muhabat kertey ho?

mujhay thundak raas nahin aati
mujhay barish se khauf aata hai
per jis din se maloom huaa
ye mosum tumko bhaataa hai
ab jub bhi sawan aataa hai
baarish mein bheegtii rehti hon
qatroon mein tumhi ko dhondti hun
bondoon se tumhara pochtii hun
main aesi muhabat kerti hun
tum kaisi muhabat kertey ho?

tum jub bhi gher per aatay ho
aur sub se baatein kertey hoo
main aoot se perdey ki jaanaa'n
bus tumko dekhti rehti hon
ik tumko dekhnay ki khaatir
main kitni pagal hoti hun
main aesi muhabat kerti hun
tum kaisi muhabat kertey ho?

jub darwazay per dustak hoo
yaa ghanti phone ki bajti ho
main chohrr k sub kuch bhaagti hon
per tumko jub nahin paati hon
jee bher k roonay lagti hon
main aesi muhabat kerti hon
Tum kesi muhabbat karte ho???

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...