Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, March 5, 2011

Roona bhi jo chahain to wo roone nahin data.......

Roona bhi jo chahain to wo roone nahin data.......
wo shakhs to palkain bhi bhegone nahin deta......
wo rooz rula'ta hai hamain khawab main aakar......
soona bhi jo chahain to wo soone nahin deta.....
ye kis ke eshare pe o'mad aaye hain badal......
hai koon jo baresh kabhi hoone nahin deta....
aata hai khayalon main mere koon ye aksar......
jo mujh ko kisee aur ka hone nahin deta.......
es dar se kahein tour ke aanso na baha'yain......
bachoon ko main mitti ke khilone nahin deta......
aik shakhs hai aaysa meri basti main abhi tak....
jo boujh aakele mujhe dhoo'ne nahin deta......
main hoon kih baha'ta hoon teri yaad main aansoo.....
tu hai kih mujhe ashk pay'rone nahin deta......
wo chehra aajab hai jise paa kar main abhi tak.....
khona bhi jo chahoon to wo khone nahin deta.....
thame huey lehroon kee husan_E_ baag koi to......
sahel ko samander main da'bone nahin deta.....

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...