Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, March 5, 2011

Mujhe apne zabt pe naaz tha, sar-e-bazm raat ye kiya howa

mujhe apne zabt pe naaz tha, sar-e-bazm raat ye kiya howa
merii aankh kase chalak gaii, mujhe ranjj hai ye bura howa
merii zindagii k charaagh ka ye mizaaj koi neya nahii
kabhii roshnii kabhii teergii,na jala howa na bujha howa
mujhe jo bhi dushman-e-jaan mila, wohi pukhta kaar-e-jafa mila
na kisii kii zarb ghalat parii na kisii ka teer khata howa
mujhe aap kyon na samjh sake, kabhii apne dil se bhi pocheye
meri dastaan-e-hayaat ka tu warq warq hai khula howa
jo nazar bacha k guzar gai mere saamne se abhi abhi
ye mery hi shehr k log thye, merey ghar se ghar hai milaa howa
humain is ka koi bhi huq nahi k shareek-e-bazm-e-kholoos hon
na humarey paas naqaab hay, na kuch aasteen main chupa howa
merey aik gosha-e fikr main, meri zindagi sey aziz tar
mera aik aisa bhi dost hay, jo kabhi mila na juda howa
mujhe ik gali main para howa, kisi badnaseeb ka khat mila
kaheen khoon-e dill sey likha howa, kaheen ansoon sey mita howa
mujhe hum-safar bhi mila koi tu shikasta haal meri tarha
kai manziloon ka thaka howa, kaheen raaste main luta howa
humain apney ghar sey chaley howe, sar-e raah umr guzar gae
koi justuju ka sila mila, na safar ka huq hi ada howa

2 comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...