Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, March 11, 2011

Mjy Pata Hai Ye Khuwab Sary Hain Joth Janan

Mjy Pata Hai Ye Khuwab Sary Hain Joth Janan
Zehan Main Mery Jo Chal Rahy Hain,Ye Unbuny Sy Khyal Sary Hain Joth Janan

Kb Tak Rah Main Youn Tum Khary Raho Gy,Ye Baat Mano
Koi Na Aay Ga Mur K Wapis,Ye Wehm Sary,Guman Sary Hain Joth Janan

Hazar Touto Hazar Bikhro,Dukhoun Main Koi Na Sath Ho Ga
Apny Hain Aap Sary, Ye Sb Sahary Hain Joth Janan

Wo Tery Wady, Wo Teri Kasmain,Kahan Tak Un Ko Main Sath Rakhta
Jo Yad Hoty To Tum Sy Kehta, Ye Ehad Tmhary Hain Joth Janan

Main Chupky Chupky Muhbtoun Ki Kitab Us Ko Parha Raha Tha
Imtihan Ka Jo Mousam Aaya To Jan Paya,Wo Wark Sary Wo Harf Sary Hain Joth Janan

Yahan Main Roz Aik Chehry Ko Hazar Chehroun Main Daikhta Hun
Sambhal K Chalna,Ye Masoumiyat K Niqab Sary Hain Joth Janan

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...