Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, March 5, 2011

Khamoosh rakhna chahte hain

Khamoosh rakhna chahte hain
In lafzon ko duniya se durr rakhna chahte hain
Naa jane kya ye kehdain,is liye inko
Kaghaz se durr, be Aarayish rakhna chahte hain,,,,,
Koi pooch naa le aa ke humse sabab
Aur hum ab gumnaam hona chahte hain
Shaid kamiyaab ho jain is justuju main
Wajh yahi k hum mukaam badalna chahte hain
Darr bamushkil itna ho
Jee sake bass aur kuch nahi
Wo makaan ab aisa chahte hain
Na aaye koi khat naa paigham,
Anjane shehar mein anjaana ho thikana
Bas aisa ab jahaan chahte hain,
Khuda jaane kab kare manzoor ye dua
Jald se jald ho pura vaada
Our phir hum gum hona chahte hain!!!!!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...