Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, March 5, 2011

kaha tha na

kaha tha na
~~~~~~~~~~

kaha tha na
is tarah sotay hoye mat chor k jana mujhy
mujhe besha jagga dena
bata dena
muhabbat k safar mein sath meray chal nahi sakten
judai k safar mein sath meray chal nahi sakten
tumhain rasta badalna hai
mere had se nikalna hai
Tumhain kis baat ka dar tha
tumhain jane nahi deta
kahain pe qaid kar leta
aray pagli …
muhabat ki tabiyat mein zabardasti nahi hoti
jisay rasta badalna ho usay rasta badalnay se
jisay had se nikalna ho usay had se nikalnay se
na koi rok paya hai
na koi rok paye ga
tumhain kis baat ka dar tha
mujhe beshak jagga detay
main tum ko dekh hi leta
tumhain koi dua deta…
kam az kam yun to na hota, mere sathi haqeeqat hai
tumharay baad khonay k liye kuch bhi nahi baqi..
magar khonay se darat hoon
main ab sonay se darta hoon

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...