Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, March 12, 2011

Gaey Waqt Ki Mohabbaton Ko Bhulana Hoga


Gaey Waqt Ki Mohabbaton Ko Bhulana Hoga
Aab K Khud Ko Chain Ki Nend Sulana Hoga

Aik Tuu He To Nahi Hay Humari Duniya Mein
Auron K Sang Bhi Humein Taluq Nibhana Hoga

Tanha He Chalay Thay Tanha He Chalnay Do
Sang Humaray Kahan Bhala Yeh Zamana Hoga

Jisay Apna Kehtay Aay Thay Ek Umer Tak Hum
Kia Khabar Thi K Wohi Sakhs Kabi Begana Hoga

Jisay Rakh Kay Tum Kaheen Bhool Gay Ho
Dekh Lo Zara Kise Nakam Mohabbat Ka Afsana Hoga

Anjaan Ban K Guzar Gay Ho Pass Say Humaray
Palat K Dekh Lo Zara Dost Koi Purana Hoga

Hum Nay Bhi Naey Rishtay Banana Seekh He Liya
Kab Tak Aab Tere Dard Ko Dil Say Lagana Hoga

Youn Kab Tak Udaas Udas Rahein Gay Hum
Aab Humein Bhi Ankhon Mein Khawab Neya Sajana Hoga

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...