Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, March 11, 2011

Dil Tou Pagal Tha K Ummeed Laga Baitha Tha

Dil Tou Pagal Tha K Ummeed Laga Baitha Tha
Teray Chehray Teray Honton Teri Aagogh K Sath
Mein Nay Halaat Pe Rakhi Thi Hamesha Nazrein
Gerchay Milta Tha Ussi Jazbay Ussi Josh K Sath

Aap Say Kis Nay Kaha Hay K Meri Fikr Krein
Mein Akaila Hi Kahin Door Nikal Jaoon Ga
Mein Tow Badal Hoon Zara Hut K Teri Basti Say
Kisi Dherti Kisi Perbat Pe Baras Jaoon Ga

Raastay Jin Pe Kabhi Chal K Mujhay Aana Hay
Thak Gaye Hongay Meri Raah Mein Bojhal Hoker
Muntazer Aankh Tumhari Bhi Agar Thak Jayay
Sang Chali Jana Kisi Ore Peh Mayal Hoker

Hudd-E Fasil Say Guzar Jaein Na Halaat Kahin
Apni Ghalti Ko Zara Maan Liya Kertay Hein
Aap Ko Mujh Say Mohabbat Hay Agar Maan Bhi Loon
Baatko Pehlay Parukh, Jan Liya Kertay Hein

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...