Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, March 11, 2011

Chinta Kissi Udhooray Se Un-Dekhay Khaab Ki

Chinta Kissi Udhooray Se Un-Dekhay Khaab Ki
Sochoun Ke Da-Eroun Mein Banati Hay Irt'aash
Ek Nagahani Shakl Mein Maujood Hay Kaheen
Kerti Hay Dhiray Dhiray Sukoon Dil Kah Pash Pash

Woh Na Huwa Jo Assal Mein Tha Hona Chahi-Ye
Woh Uss Taraf Nahi Thi Jahan Kho Gaya Tha Mein
Pal Pal Woh Meray Saath Meri Hum-Naffas Rahi
Deti Hay Loriyan Jo Kabhi Sow Gaya Hoon Mein

Ho Ker Shuru Kahan Pe Khattam Hon Gay Silsilay
Uthtay Hein Zehn Mein Kaee Bhatkay Huay Sawaal
Yoon Bay-Sabub Udaas Kabhi Dil Hua Na Tha
Hotay Zaroor Hein Kahin Veeran Say Khyaal

Kitnay Haseen Khaab Dikhati Hay Zindagi
Mumkin Hay Unn Mein Eik Ki Takmeel Ho Sakay
Mera Wajood Teri Rug-E Jaan Bun Sakay
Meray Badan Mein Kaash Too Tehlil Ho Sakay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...