Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, March 14, 2011

Chaman Ka Haal Tu Yeh Hai K Khaak Urti Hai

Chaman Ka Haal Tu Yeh Hai K Khaak Urti Hai
Kidhar Se Ho K Baharoon K Karwan Guzray

Diyar-e-Yaar Sara Safar Anokha Tha
Kadam Kadam Pe Naya Day K Imtihan Guzray

Saba Bhi Aai Tu Phooloon K Mooh Jholas K Gai
Yahan Se Aber Bhi Barsa K Bijliyaan Guzray

Jo Chup Rahein Tu Malamat Karay Zamir Humein
Khari Khari Jo Kahein ’ Aap Ko Giraan Guzray

Guzarnay Ko Tu Musibat K Din Guzar Hi Gaye
Baray Hi Gehray Mager Chor Kar Nishaan Guzray

Sahi Gayin Na Tagaful Ki Chand Nazrein Bhi
Hain Sharamsar K Is Dil Main Kia Gumaan Guzray

Kabhi Tu War Raqeeboon K Day Gaye Hain Maza
Kabhi Tu Piyaar Azizoon K Bhi Giraan Guzray

Aye Dil Sambhal K Kisi Ko Hisab Dayna Hai
K Zindagani K Lamhay Kahan Kahan Guzray

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...