Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, March 5, 2011

Ashkoun Ko Aankhoun Me Aur Gham Ko

Ashkoun Ko Aankhoun Me Aur Gham Ko
Dil Me Chupaye Naa Rakhte Toh Aur Kya Karte
Unki Yaad Ko Seene Me Dabaye Naa Rakhte
Toh Aur Kya Karte
Samjha Diya Aaqir Keh Keh Kar Ye Pagal Dil Ko
Kya Zaroori Tha Woh Bhi Tujh Se Wafaa Karte
Mein Nahi Hoon Teri Qismat Me Ye Kaha Humse
Hum Bhala Qismat Ko Naa Thukrate Toh Kya Karte
Woh Keh Rahe The Bura Humko Humare Saamne
Hum Qudko Bura Naa Kehte Toh Aur Kya Karte
Wafaa Kya Hoti Hai Puchte Rahe Humse
Hum Bhala Bewafaa Ko Yeh BataKe Kya Karte
Tanhai Bann Gayi Apna Muqaddar
Yeh Apne Dil Ko Naa Samjhate Toh Kya Karte

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...