Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, March 5, 2011

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay,
k ashq rokna tum se mohaal hona hay..
har aik laab pe hay meri wafa k afsanay,
tere sitaam ko abhi lazawal hona hay..
tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay,
tumharay hijar main ik lamha bhi sal hona hay..
humari rooh pe jaab bhi azaab utrain hay,
tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay..
kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bhahoon main,
kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay..
milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan,
baas intizaar hay kaab yeh kamal hona hay..
har shaks chalay ga humari rahoon per,
mohabatoon main humahin woh misaal hona hay..
Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye,
humari zaat ko aisa sawal hona hay..
Wasi" yaqeen hay mujh ko woh lout aye ga,
usay bhi apne kiye ka malal hona hay..

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...