Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, March 5, 2011

aankh ban jaati hai sawan kee ghata shaam ke

aankh ban jaati hai sawan kee ghata shaam ke
baad..........
lout jata hai agar koi khafa shaam ke baad
woh jo tal jati rahi sar se bala shaam ke baad,,,,,,,
koi to tha kih daita tha dua shaam ke baad
aahain bharti hai shabe hijar yatee'moon kee
tarah,,,,,
sard ho jati hai har rooz hawa shaam ke baad
shaam tak qaid raha karte hain dil ke ander,,,,,,
dard ho jate hain sare hee,reha shaam ke baad
loug thak haar ke soo jate hain laiken janaan,,,,,,
hum ne khush ho ke tera dard saha,shaam ke baad
shaam se pahle talak laakh sulaye rakhain,,,,,
jaag ut'thi hai muhabbat kee aana, shaam ke baad
khawaab takra ke palat jate hian band aankhoon
se,,,,,,,
jane kis jurm kee,kis ko hai saza shaam ke baad
chaand jab ro ke setaroon se gale milta hai,,,,,
ek ajab rang kee hoti hai fiza shaam ke baad
hum ne tanhayi se pocha kih miloo gee kab tak,,,,,
os ne be chaini se foran hee kaha,shaam ke baad
main agar khush bhi rahoon,phir bhi mere seene
main,,,,,,,,
sogawari koi rooti hai, sada shaam ke baad
tum gaye ho to seeyah rang ke kapre pehne,,,,,,
phirti rehti hai mere ghar main qaza,shaam ke baad
lout aati hai meri shaab kee eebadat khali.......
jane kis aarsheh pe rehta hai Khuda shaam ke baad
Din aajab mut'thi main jag're huey rakhta hai
mujhe,,,,,
mujh ko es baat ka ehsaas hua, shaam ke baad
koi bhoula hua ghum hai, jo musalsal mujh ko,,,,,
dil ke paa'taal se daita hai ,sadaa shaam ke baad
maar daita hai ujar jane ka duhra ehsaas,,,,,,,,,
kaash ho koi kisee se,na juda shaam ke baad

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...